- Song – Maaye
- Singer- B Praak
- Music – Tanishk Bagchi
- Lyrics – Manoj Muntashir
Teri zameen se hum
Sar utha ke chale
Humein has ke vida kar maa
Laal hain hum tere
Yaad karna humein
Dhol-taashe baja kar maan
O Maaye teri mitti bulaye to
Ye duniya chhod ke aa jaayein
Tu jo aawaz lagaye to
Tiranga odh ke aa jaayein
O Maaye tere kaam nahin aaye
To phir bekaar jawani hai
Bahayein khoon teri khatir jitna
Ganga me paani hai maa!
Agar jaan jaati hai to jaye
Jaye re maaye, Kabhi teri aan na jaaye re
Jala denge apni hum chitayein
Tujhpe O Maaye, kabhi koi aanch na aaye re
Tu mere liye, main tere liye
Tere hi rahe, mare ya jiye
Tere hi naghme gaaye jaate-jaate maaye re
O Maaye teri mitti bulaye to
Ye duniya chhod ke aa jaayein
Tu jo aawaz lagaye to Tiranga odh ke aa jaayein
Zara dheere-dheere loriyaan gaa
Jaise teri god me aayi hai maa
Aayegi aesi meethi si neend kahan
Kadmon me tere hum hue hain fana
Maye teri mehar jo humko chuna
Hoti hai har ik wardi shaheed kahan
Maaye, ye duaa to har sipahi rab se karta hai
Jaise hum mare hain desh par yun kaun marta hai haye
Meri khusnaseebi hai yeh maaye,
Teri galiyon mein, hawa meri raakh udaaye re
Jala denge apni hum chitayein
Tujhpe O Maaye, kabhi koi aanch na aaye re
Tu mere liye, main tere liye
Tere hi rahe, mare ya jiye
Tere hi naghme gaaye jaate-jaate maaye re
O Maaye teri mitti bulaye to
Ye duniya chhod ke aa jaayein
Tu Humein aawaz lagaye to
Tiranga odh ke aa jaayein
O Maaye tere kaam nahin aaye
To phir bekaar jawani hai
Bahayein khoon teri khatir
jitna Ganga me paani hai!